मेरी पूर्णागिरी यात्रा


Hi friends yah meri pahli blog posting hai. Please ap jarur batana kaisi lagi yah posting.

Jab me class10 me tha.Tab pahli bar poornagiri mandir jane ka sanyog bana. Apki jankari ke liye batate chalen ki Poornagiri Madir Uttrakhand state ke Champawat distt me Tankpur ke pas hai. Yah sthan mere yhan se kareeb 200 km padta hai. Bahut hi religious place hai. Maine apne 4 aur friends ke sath jane ka program banaya.Us samay may month tha aur mela bhi chal rha tha. Apne program ke hisab se hmne morning me 6am wali train se chalne ka vichar kiya. Ham 5 log right time 5:30 am pr shahjahnpur distt ke mini railline pr pahunch gye. Train plateform pr lag gyi thi. Yah meri apni samajh me pahli rail yatra thi. Train me kafi bheed thi phir be sbi logo ko sheet mil gyi. Aur train 6:30 pr plateform se rawana hui. Man me itni utsukta thi ki yun hi bata nhi skte.Hum log ghar se propr khane ki vyawastha krke chale the. Dheere dheere train chalti gyi aur hum log apas me bate krte rahe. 11.00 am ke kareeb train Pilibhit station pr pahunchi. Sabhi logo ne lunch kiya. Actual me hum sb ne plan banaya tha ki morning me chalke agle din even tk vapas bhi aana hai. Apki jaankari ke liye batate chale ki poornagiri mandir ke darsan ke saath saath Sidh Baba Mandir ke bhi daran krna subh mana jata hai jo Nepal me hai.


Pilibhit pahuchne ke baad aur utsukta bad gyi kuch dosto ko need aane lagi. Lekin me nahi soya . Dheere dheere evening me 5:00 pm pr hum sb Tanakpur station pr the. Sabse majedar baat yah thi ki yahan se pahad bilkul saaf dikh rahe the.Ab hum uttrakhand me the. Tanakpur ek kafi sundar traveling place hai jo pahadon ki god me hai. Yahan se poornagiri mata ka mandir kareen 16 Km hai. jahan pahadon ke beech se jana hota hai.Sach kahen to yah doori pata nhi lagti hai. Aur sare raste me pahadon ke beech me kafi accha lagata hai.

Tanakpur ke pas hi sarda river bahti hai jo apne aap me adbhut hai. Nepal me siddh baba ka mandir yahan se 2 Km door hain jahan sarda river ke bridge ko par krke jana hota hai.Chalo ab aage bat krte hai hai hum sb log station pr utre aur bahar se pvt taxi krte huye sarda nadi ke pass pahunch gye. Hum logon ne phir decide kiya ki tanakpur na rukkr pahle khole ke pas rukenge. Subhah vapsi me tanakpur ghum lenge aur baad me sidh baba mandir jayenge. Sab log tyar ho gye aur phir pvt jeep krke hum sb pahle kole pr pahunch gaye. Yahan se mandi kafi paas hai kareeb 1km. Kai sari shop lagi hui thi aur stay krne ki proper vyawastha thi . Night me sb logo ne dinner kiya aur baatchit krte huye so gaye . Early morning me 1am pr hum sb log uth kr fresh hue aur  wahin shop se prasad kharida. Phir mandir ke liye chal diye . Jaykara lagate hue chalte samay kafi accha lag raha tha. Bich raste me bhi kafi madir the finally hum 2am pr mandir me pahunch kye the bheed nhi thi isliye darsan me koi dikkat nhi hui. Kafi acche darsan hue. Kai sari nayi cheejen dekhne ko mili.Ab hum sb vapus usi shop pr aaye aur shopkeeper ko thanks kahte hue vapus pahle khole pr aaye. Tb tk morning me 4:00 am ho chuke the mela chal hi raha tha isliye koi dikkat nhi hui. Aur phir jeep me baithkar hum log 5:00 am pr tanakpur aagye.

Ab tankapur aane ke baad subhaya sb logo ne breakfast kiya, shopping ki aur phir 8:00 am pr siddth baba mandir jane ka plan kiya. Sach me kitna khobsurat hai Tankapur and Nepal. Vahan se pvt auto se hum sarda bairaj pahunche. Yahan se mandir pas me hi hai isliye paidal hi siddh baba mandir gaye. Siddh Baba madir sarada rivar ke kinare Nepal me Mahendarnagar Disst me hai . Hum sb ne mandir me darasan kiye aur shoping bhi ki . Aur bapas 12:00 PM tak tanakpur vapus aa gye.

Mai kafi khush tha aur ho bhi kyon na pahli bar train yatra ki thi. Due to lack of time ab hum sab ne vapus jane ka nischay kiya. Thodi bahut shopping vapusi me bhi ki . Evening me 4:00 pm pr train thi jo seedhe Tanakpur se Shahjahnpur ki thi.Night me need aa gyi jo sidhe shahjahanpur jakar khuli. Isliye timely hum log night me ghar vapus aagaye. At the ending mai kah skta hoon ki is yatra se kafi nyi baten sikhne ko mili aur humne bahut enjoy kiya.
   

No comments:

Post a Comment