हरिद्वार यात्रा



Yah bat kuch din pahle ki hai . Jb me Meerut  me rhta  tha. Tb achanak se haridwar jane ka subh avsar prapt hua. Me jis hostal me rah rha tha vahan par aur bhi saath me dost rahte the . Hamare landlord ki taraf se Haridwar jane ka plan bana. Program ke anusar yah nischit hua ki early morning me meerut se chala jayega aur dopahar tak haridwar pahunch  kr ghoom lenge phir vapus me roorke bhi ghooma lenge. Hum sbi bahut khush the kyonki mujhe aur mere kuch mitra logon ko first time haridwar jo jana tha. Hum karib 20 log the . Isliye sabhi logo ne private vehicle se jane ka nischay kiya. Ek din pahle hi sari tyari kr li gayi photo lene ke liye camere bhi tyar kr liye gaye. Proper scheduling ke bad hum morning (6:00 am)  me jaldi hi uth  jaldi se fresh huye. Aur 7 baje tk ready ho gye. Hostal ke vahar 2 jeep (scorpo, marshal) hum logon ka wait kar rahin thi. Kuch photo bhi liye gaye aur 7:30 am pr hum haridwar ke liye chal diye.

हरिद्धार जाने के लिए तैयार 



Merrut me partapur bypass se Haridawar Approximately 150 km padta hai. Jo NH-58 Pr hai. Hum sab jeep me baith kar chal diye . Raste bhar mouj masti karte hue ek Mujjafarnagar ke pas ek dhave pr pahunch kr sbhi logo ne rest kiya chai nasta kiya.Photo bi liye aur phir jeep me baithkar chal diye. Mere liye kafi khusi ki baat thi kyonki is root pr uttrakhand ke liye yah meri ahli yatra thi.


11.00 am ke kareeb hum log haridwar me the . Vahan se pahadon ka nazara dekhne yogya tha. Maine apne mobile aur camere se photo bhi liye.  Phir jakar parking me jeep laga di gyi. Vahan se kya khoobsurat scene tha dekhe bina vyan nhi kiya ja sakta. Ek majedar bat yah hui ki hum logo ki ek jeep piche hi rah gyi thi. Isliye pahli jeep ke logo ne snan krke pahle hi ready ho gye. Ab hum haridwar me Ganga ji ke ghat ke kinare the sabhi logo ne snan kiya , shopping ki aur phir famous religious place Ma Mansa Devi Madir jana tay hua.Yahan se mandir pass me hi pahadon me hai. Jane ke Shortcut ke alawa sidiyon se bhi jaya ja sakte hai. Sabhi ne prasad kharida aur jayakara lagate hue sidiyon se mandir pahunche. vaise to mandir parisar me photo khicna allow nhi hai phir bhi photo khiche , laxaman jhule ka bhi . So beautiful scene.


2:00 PM pr hum log kafi ghumne ke bad main market me aaye aur lunch kiya. uske baad phir kafi enjoy kiya. pahle to aage jane ka bhi plan kiya lekin asahmti ki vaja se kuch shopping krne ke baad hum log haridwar se vapus chal diye. Ab hume roorke jana tha isliye . Sabhi log rooree pahunch yah haridwar se pas me hai. Vahan pr ek famous place Kalihar Sarif hai  jo gang nahar  ke pas hai . Vahan par gya kafi der ghume. Tab tak evening ho chuki thi. Phir vapus jeep me vaithkar der night hum log vapus hostel me aaye.Sach me ek avismarniya yatra rahi aur hum sabne khoob enjoy kiya.

Jaldi hi dubara agar plan bana to jarur jaunga...

Ab dekhiye photo :




































मेरठ में यही रहता था 

यात्रा वीडियो 










2 comments: